Lyrics: QUESTION


Naa tum jaano naa hum

Kyon chalti hai pavan? 
Kyon jhume hai gagan? 
Kyon machalta hai mann?
Na tum jano na hum, Na tum jano na hum

Kyon aati hai bahaar? 
Kyon lutta hai karaar? 
Kyon hota hai pyaar?
Na tum jano na hum, Na tum jano na hum

Kyon gum hai har disha? 
Kyon hota hai nasha? 
Kyon aata hai mazaa?
Na tum jano na hum, Na tum jano na hum

Kyon milti hain nazar? 
Kyon hota hai asar? 
Kyon hoti hai sahar?
Na tum jano na hum, Na tum jano na hum


Jaane kyu?

Jaane Kyon Log Pyaar Karte Hain?
Jaane Kyon Woh Kisi Pe Marte Hain?
Jaane Kyon Jaane Kyon Jaane Kyon?
Pyaar Mein Sochiye To Bas Gham Hai
Pyar Mein Jo Sitam Bhi Ho Kam Hai
Pyar Mein Sar Jookana Padta Hai
Dard Mein Muskurana Padta Hai
Zaher Kyon Zindagi Mein Bharte Hain?
Jaane Kyon Log Pyaar Karte Hain?
Jaane Kyon Jaane Kyon Jaane Kyon?

Pyar Bin Jeene Mein Rakha Kya Hai
Pyar Jisko Nahin Woh Tanha Hai
Pyar Bin Jeene Mein Rakha Kya Hai
Pyar Jisko Nahin Woh Tanha Hai
Pyar Sau Rang Le Ke Aata Hai
Pyar Hi Zindagi Sajaata Hai
Log Chup Chup Ke Pyaar Karte Hain
Jaane Kyoun Saaf Kehte Darte Hai?
Jaane Kyon Jaane Kyon Jaane Kyon?

Comments

Most Read Recent Experience